Riddle is not only for fun, It also sharpen their thinking power and IQ. Here we have collected some riddles for your child.
- Aisa kaun sa jaanwar hai jiski poonchh par paisa hota hai ?
Answer – Mor <———Riddles for kids in Hindi पहेलियाँ——->
4.– Ghar mein andhiyaara kyon tha,
Bhikhaari badbadaaya kyon tha ?
Answer – Kyonki diya na tha.
5.Pandit pyaasa kyon tha,
Gadha udaas kyon tha ?
Answer – Kyonki lota na tha.
6.Aisa kaun sa fal hai jiske pet mein daant hote hain ?
Answer – Anaar
7.Do akshar ka mera naam,
Sar ko dhakna mera kaam
Answer – Topi
<———Riddles for kids in Hindi पहेलियाँ——->
9.Chhote se hain matkudaas,
Kapde pahne ek sau pachaas
Answer – Pyaaj
10.Main sabke paas hoon. Koi mujhe kho nahin sakta hai.
Batao main kaun hoon ?
Answer – Parchhaee
11.Aisi kaun si cheej hai jo baarish mein chaahen jitni bheege, wah
kabhi geelee nahin ho sakti hai ?
Answer – Paani
12.Rohan ne Sohan se poonchha ki batao tumhari jeb mein kya hai
?
Sohan ne jawaab diya ki meri jeb mein kuchh hai bhee aur meri jeb mein kuchh
nahin bhee hai.
Batao yah kaise ho sakta hai ?
Answer – Agar jeb mein chhed ho to.
13.Wah kya hai jo aap kisi ko dene ke baad bhee rakh sakte ho ?
Answer – Apna wachan.
14.Wah kya hai jiski aankhon mein agar ungli daalo to wah apna
muh khol deti hai ?
Answer – Kainchi
<———Riddles for kids in Hindi पहेलियाँ——->
15.Aisa kaun sa mahina hai jismen log sabse kam sote hain ?
Answer – February ka mahina.
17.Aisi kaun si cheej hai jo hamesha badhti to hai lekin kabhi kam
nahin hoti hai ?
Answer – Umar
18.– Wah kya hai jiske paas ek aankh hai phir bhi wah dekh nahin
sakti hai ?
Answer – Suee
19.Suresh agar Reena ka pita hai to Suresh, Reena ke pita ka kya
hai ?
Answer – Naam
20.Wah kya hai jismen se aap sab le lenge phir bhi kuchh bach
jaayega ?
Answer – Sabkuchh
21.Aisi kaun si cheej hai jiska aakaar to hai lekin bhaar kuchh bhi
nahin hai ?
Answer – Akshar
22.Wah kaun si cheej hai jo hamesha daudti hi hai, kabhee chalti
nahin ?
Answer – Injan
23.Mera bhaee bada shaitaan,
Baithe naak par, pakde kaan
Answer – Chashma
24.Ek gufa ke do rakhwaale,
Dono lambe, dono kaale
Answer – Moonchh
25.Do kisaan ladte jaen,
Unke khet badhte jaen
Answer – Swetar kisalaee.
<———Riddles for kids in Hindi पहेलियाँ——->
26.Chhota sa fakeer,
Jiske pet mein lakeer
Answer – Gehun
29.– Ek gunee ne yah gun keena, hariyal pinjre mein de deena
Dekho jaadugar ka kamaal, daale hara nikle laal
Answer – Paan
30.khali pet, badi mastaani,
Log kahen usko, paani ki raani
Answer – Naav
31.Hara ghera, peela makaan,
Usmen rahte, kaale insaan
Answer – Sarson
- Chhotisi chhokri, laalbai uska naam hai
Pahne hai ghaaghra, ek paisa daam hai
Answer – Laal-mirch
- – Aankhen hain par andhi hoon,
Pair hain par langdi hoon,
Muh hai par maun hoon,
Batao main kaun hoon ?
Answer – Gudiya
- Aisi kaun si cheej hai jo hai to sone ki lekin sone se bahutsasti
hai ?
Answer – Chaarpaee
- Do akshar ka mera naam,
Hardam rahta mujhe jukaam,
Kaagaz hai mera rumaal,
Bhaiya kya hai mera naam
Answer – Pen
- Teen akshar ka mera naam,
Pratham kate to raam ka naam,
Madhy kate to fal ka naam,
Ant kate to kaatne ka kaam
Answer – Aaraam
- – Billi ke kistaraf baal jyaada hote hain ?
Answer – Baahar ki taraf.
- Do sundar ladke, dono ek rang ke
Ek agar bichhad jae, to dusra kaam na aae
Answer – Joote
- Ghar mein main khoob uchhalkood karta,
Lekin neeli aankhon se main darta,
Ghar mein jo kuchh mujhe mil jaata,
Kutar-kutar usko kha jaata
Answer – Chuha
- Main hoon banda dhaansu,
Kaatne par doon aansu
Answer – Pyaaj
- – Jitna aap aage badhaate hain,
Utne peechhe chhoot jaate hain.
Batao kya hai wah ?
Answer – Kadam
<———Riddles for kids in Hindi पहेलियाँ——->
- Hah kaun si cheej hai jo ek jagah se dusri jagah jaati to hai lekin
apni jagah se hilti bhi nahin hai ?
Answer – Sadak
- Pumhare pita ka me mama lagta hu. Tumhari maa ka bhi me mama lagta hu. tumhara bhi me mama lagta hu or tumhare mama ka bhi me mama lagta hu. batao me kon hun ?
Chanda (Moon) – mama
[/et_pb_text][/et_pb_column][/et_pb_row][/et_pb_section]